Swaron Ki Saadhna Poem by Shambhu Dan Mehru

Swaron Ki Saadhna

Mein antim baar
veena ke taar
fir chadhaana chaahta hu
aur fir unako wahi
geet sunaana chaahta hu
jisko sunkar unako sukh pahunche
(unaka sukh mera sukh hai)
par aaj ye kyo?
taar sadhte hi nahein hein
swar kahan kho gaye?
wo swar niklate hi nahein hai
ab kya hoga, bhagwan?
woh to mujhe swaron se
pahchante hein
gar swar kho gaye, nath!
to mujhe kaun pahchaanega?
par haay!
swar khone ke Baad-yad aaya
swarom ke liye saadhna zaruri hai.


August 1964

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success