Talaash! Poem by Aarzoo Mehek

Talaash!

Rating: 5.0

Agar ik khasta haal ajnabi
Bhoole se mere gaon aajaai
Jiske chehre par gard.e.safar ho
Paon main qaid.e gham ki zanjeerein
jiske chehre se barasti ho wehshatein
jiski ankhein talaashti ho kissi apne ko
Jo khud aabla.Paa ho
Aur dhoonde mere naqsh.e paa ko
Aur dhoondte dhoondte kabhi dekhe
Wo aasmaan ki taraf
To samjh jaana tum logon
Wo mujhko talaash kar raha hai

Meri wasiat ko yaad rakhna
Us ajnabi ko pehchaan jaana
Meri rooh ki taskeen ke liye
Usko mere pass tum lana
Meri turbat usko dikhlana
Aur kehna ke
Intezaar main tere, ho gayi
Supurd e khaaq kabki
Usse kehna ki mit gayi thi main
Nibaate nibhaate faraiz.e duniya
Usse kehna ke dekh le ab wo
Kaise azaad ho gayi hun main
Saari rasmon aur riwaajon se
Aur sath hi saath ye bhi keh dena
Ke maang lungi mein
Usko duniya se hat ke, Khuda se main
Usko duniya se hat ke, Khuda se main.

© Aarzoo Mehek

Talaash!
Friday, January 8, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,nazm,urdu
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 08 January 2016

Lajawab, Bemisal Mohabbat ki dastan hai ye.....................Azmaish jitni kadi ho, anjaam utna hi asardaar hota hai..Beshak ye Mohabbat rang layegi, parwaan chad jaegi....Wo zarur ayega jiska aapko intezaar hai, Haqqeqat mein ba-hosh o hawaas aur kya manzar hoga us milan ka....Thought provoking poetry...Awesome..falling short of adjectives...100+++

3 0 Reply
Aarzoo Mehek 08 January 2016

Khushi hoti hai jab koi is nazm ko badi bareeki se parhta hai aur sarahta hai. Shukriya kehne ke liye lafz kam pad jaate hai. Shukriya Asim is shayri ke safar main sath chalne ke liye. Allaah aapko khush rakhe.

0 0
Abhilasha Bhatt 09 January 2016

Intzaar maana lambaa bahut tha Magar pyar beintehaan tha Waqt badlta raha mausam badlte rahe Magar laaut kar wo aaya Kyunki pyar main sach bahut tha taab bahut tha Beautiful poem....loved it...thanks for sharing :)

1 0 Reply
Dr Dillip K Swain 23 December 2022

Really a thought provoking poem....appreciate the way you have presented the theme. You are writing so well but I can't see the reason of your silence. Hope you will come back soon!

0 0 Reply
Unnikrishnan E S 19 June 2016

Hi Arzoo, My Urdu is limited. But this sher I liked very much. Maang loongi mein usko duniya se hatke khuda se mein. That is the ultimate demand of love. And Kaise aazad ho gayee mein, duniyaa ke rasmon aur riwazon se- the true depiction of a person in love! very deep observation and aesthetic poetic representation. Loved reading.

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 01 March 2016

Talaashti ho kissi apne. Peace is the key! And hope lies ahead. Nice piece of work.

0 0 Reply
Souren Mondal 10 February 2016

[...]Meri turbat usko dikhlana Aur kehna ke Intezaar main tere, ho gayi Supurd e khaaq kabki Usse kehna ki mit gayi thi main Nibaate nibhaate faraiz.e duniya Usse kehna ke dekh le ab wo Kaise azaad ho gayi hun main Saari rasmon aur riwaajon se[...] Arzoo, har roj mai kam se kam 50-60 kavitayein parta hu,4 bhashaon mein, lekin bohoot kam aise nazm hote hai jo ankhoon se sach me ansoon, aur dil me ek dard ka ehsaas kara jai.. Ye nazm parte huye sach mein dil me iss mein bayaan kiyi gayi ladki ke liye dua aa gayi.. Nastik hu main, magar fir bhi agar koi bhi Khuda kahi par bhi hota, to iss ladki ke liye mein dua karta.. I don't really, ever, get this emotional reading a poem.. This goes to my favourites.. I wish I had discovered your poems before.. Thank you very much..

0 0 Reply
Rajnish Manga 16 January 2016

एक ज़बरदस्त नज़्म हमसे शेयर करने के लिये आपका बेहद शुक्रिया, आरज़ू महक साहिबा. इस बारे में कुछ कहना चाहूँगा. किसी शख्स को बड़ी जद्दोजहद, तलाश और इंतज़ार के बाद मंज़िल मिल जाये, तो उसे खुशनसीब माना जाना चाहिये. मगर अफ़सोस, जब सफ़र यही ख़त्म होता दिखाई न दे तो ऐसे हालात में मुँह से बेसाख्ता निकल जाता है कि 'मर के भी चैन न पाया तो किधर जायेंगे? ' नज़्म की कुछ खास पंक्तियाँ: Usko mere pass tum lana / Meri turbat usko dikhlana / Usse kehna ki mit gayi thi main / Nibaate nibhaate faraiz.e duniya / Aur sath hi saath ye bhi keh dena / Ke maang lungi mein / Usko duniya se hat ke, Khuda se main

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success