Tere Siwa Nahin Jeena Poem by Shrini Deewana

Tere Siwa Nahin Jeena

Rating: 4.0

Tere siwa sanam ab jeena mera jeena hi nahin,
Har ghadi tere hi khayalon mein jeeta rehata hoon,
Log kehane lage hai ab to 'Deewana' mujhko,
Logon ke taanon ka mein parwah nahin karta hoon.

Bas ek baar tu aaja aur apne seene se tu lagale mujhko,
Raat din bas isi ghadi ke liye mein zinda rehata hoon,
Tu hi to hai ragini tu hai mere mohabbat ki devi,
Raat din bas tere naam ke hi puja mein kiya karta hoon.

Kehati hai yeh duniya ke pyaar mein koi kabhi sukh pata nahin,
Duniya kya jaane mohabbat mein jeene marne ka maza,
Bas is jeevan mein ek baar lipat jaaoon mein tujhse, Phir kahoonga khuda tu le chal humein jahan le jana hai tujhe.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

Bas ek baar tu aaja aur apne seene se tu lagale mujhko, Raat din bas isi ghadi ke liye mein zinda rehata hoon, Tu hi to hai ragini tu hai mere mohabbat ki devi, Raat din bas tere naam ke hi puja mein kiya karta hoon. wah waah...dil bhar gaya...dil ki gahrayi se kahee gayi lagta hai...bahuth khoob

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success