Toh Kya Hai? Poem by Poonam Mehta

Toh Kya Hai?

Jeeye jaata hoon uske aane ki baat mein,
woh chaah kar bhi nahin aa pata,
toh kya hai?

Chaaron aur beh rahi utsav ki purwaai,
mera hi ghar maatam mein dooba hai,
toh kya hai?

Yun toh hazaaron kaanch bikhar jaate hai tut kar,
Phir ek dil mera bhi toot gaya,
toh kya hai?

Yun toh hamesha uski raah dekhta hoon mein,
Yadi aaj bhi woh waqt rehte na aa paya,
toh kya hai?


*

Dushmanon ki bheed pehle hi thi,
yadi ek aur dost bewafa nikla,
toh kya hai?

Maine toh paraayon ko bhi gale lagaya hai,
Apno mein yadi ek aur gair nikla,
toh kya hai?

Ujaale waise bhi kab raas aaye hain mujhe,
Ab yadi andheron ne gale lagaya hai,
toh kya hai?

In chalti firti laashon ki duniyan mein,
Gar mein bhi hosh gawaan baitha,
toh kya hai?

Lakhon chale jaate hain iss jahan se
Aur ek mein bhi nikal gaya,
toh kya hai?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success