Tu Aur Teri Duniya Poem by Deepak Hariharan

Tu Aur Teri Duniya

Tu kehta hai har Zarre me hai tu,
Phir kyun kisi ke paas aur kisise door hai tu?

Tu kehta har dil me hai tu basta,
Phir kahin tere naam pe mandir aur kahin masjid kyun hai banta?

Agar tune hai ye duniya banayee,
Phir kyun koi dushman hai aur kyun koi bhai?

Tu kehta hai ek tu,
Phir tujhe paane ke raaste hain anek kyun?

Tu kehta hai sabke saath hai tu,
Phir kyun nahi sabke paas tu?

Tu kehta hai tere liye sab ek samaan,
Phir teri is duniya me kyun nahi ameer gareeb ek samaan?

Tu kehta hai ki hai ek ye duniya,
Phir kyun hai is duniye me anek duniya?

Tu kehta hai ki maut ke baad ke baad swarg aur narak deta hai tu,
Phir tere naam se dharti pe insaan narak banaate hai kyun?

Tune diya insaan ko is duniya me mehnat ke laayak,
Phir insaan chahta kyun hai laalach ke laayek?

Tu kehta hai pyaar karo sab insaanon se,
Phir kyun hai dosti aur kyun hai dushmani kuch insaanon me?

Tu hai is duniya me ek hi tu,
Par phir bhi duniyawaalon ke liye kyun hai anek tu?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Deepak Hariharan

Deepak Hariharan

Uttar Pradesh, India
Close
Error Success