Tu Na Aaye, Na Sahi.. Poem by Isabella Francis

Tu Na Aaye, Na Sahi..

Raat k sannate me sunti hu awaz,
Ghadi ki tik tik aur jhingur ka saaz.

Kabhi in kano me hoti thi teri awaz, aabad,
Par aaj, vahi ghadi ki tik tik aur jhingur ka saaz.

Thand ki hawaein, jama jati hai aansuon ko,
Par ye chuti nahi dil me behte khoon ko.

Kya kahu, dil me shayad garmahat hai tere pyar ki,
Akele chhat par kiye tere didar ki.

Shayad teri intezar me sari zindagi beet jaye,
Par vo zindagi hi kya jo tere lie na jee jaye.

Usi chehre ko dhoondte hain shayad ye barf se hath,
Jab barish ki boondo k beech jab hum the sath

Rooh kaanpe jab yu teri khushbu, is dil se takrati hai,
Us ek mehek se saari aankho me kati raatein yaad a jati hai.

Par ab shayad sirf teri yaadein hi bachengi,
Tu na aye na sahi par tere lie ye raahein roz sajengi.

COMMENTS OF THE POEM
Kavya . 25 January 2013

wah kya pyar hain....bahut khoob!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success