Tum Aate To Poem by Akhtar Jawad

Tum Aate To

Rating: 5.0


Kutch tum sunte kutch main sunta per aate to,
Keyun mujhse khafa ho baithe ho samjhate to.

In bheegi bheegi aankhon per,
In sookhe sookhe honton per
Tum madhu madira barsate to,
Ek pal ke liye tum aate to.

Tum dekhte main phir keya karta,
Tum keya jano main keya kahta,
Main sari rat tumhein sunta tum gate to,
Ek shab ke liye tum aate to.

Choti si yeh rat sahi main isko lambi bana deta,
In nainon se kajal lekar main is sooraj ko dhundla deta,
Zulfon se girhein le le kar tum chand ko bandi banate to,
Main tare tor ke le aata tum apni mang sajate to.

Har geet mein mere tum ho base tum gate to,
Jane keyun uljhi zulfein, tum aa ke inhein suljhate to.
Yeh waqt wohin per rook jata tum pas mere ruk jate to,
Tum dekhte meri aankhon ko ek bar zara mur jate to.

Hum dono ana ke sagar mein ayse doobey ke nikal na sake,
Sulag sulag kar jalte rahe phir bhi hum dono pighal na sake.

Sunday, December 28, 2014
Topic(s) of this poem: ego
COMMENTS OF THE POEM
Khalid Saifullah 28 December 2014

Ana ke jhagre mein apne bhi paraye ho jate hayn, ek khoobsoorat nazm.....10

1 0 Reply
M Asim Nehal 01 August 2016

Wah wah...dil se kahe lafz, jazbaat mein doobe lafz, ek sachchi tamanna lekin ye beech mein aham sab ko rok kar barbaad kar diya...Ek behtareen aur bemisaal nazm...Janab ye 10 se kahin zyada ki haqdaar hai.

0 0 Reply
Kavita Singh 10 February 2016

Zulfon se girhein le le kar tum chand ko bandi banate to, Main tare tor ke le aata tum apni mang sajate to..... wah wah lazawab.....

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 01 January 2015

Ek khoobsoorat nazm........................10

0 0 Reply
Ramesh Rai 31 December 2014

Tum ate to kuchh aur hi hota. Rafi sahab ka ek gana jo juban pe nahi aaraha hai. bahut hi sunder hai.

0 0 Reply
Salini Nair 30 December 2014

Choti si yeh rat sahi main isko lambi bana deta, In nainon se kajal lekar main is sooraj ko dhundla deta, .........beautiful

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success