Tum Bhi Khush Rehna.. Poem by abhilasha bhatt

Tum Bhi Khush Rehna..

Rating: 5.0

Tum jaante ho
Mujhko tum kabhi yaad Nhi aate
Kbhi bhi Nhi
Jaante ho kyun
Kyunki main tumhe kabhi bhooli hi nhi thi
Yaad to ham aksar
Unlogon ko krte hain
Ya uncheezon ko krte hain
Jinhen ham bhool jaaya karte hain
Ya jo har pal yaad rakna
Ya jo sanjo kar rakhne k lie nakaafi se lgte hain
Waise bhi yaad bhi to ham sahuliyaton k aaine main rakh kar krte hain
Kbhi kisi ko
To kbhi kisi ko
Magar tum aur tumhari yaadain
Tumhari chahten tumhari baatain
Insab chizon k insab baaton k pare hain
Ya yun kahun tumhare age ye sab
Bebuniyaadi aur bematlb bemaayani se nazar aate hain
Tum mujhe aksar nhi yaad aate
Tum mere andar baste ho badi shiddatt se
Phir baki k sawalon k jawab naakaafi se nazar aate hain
Tum jahan ho
Tum kahan ho
Main nhi jaanti
Koi pata nhi tumhara mere paas
Na kabhi janne ki koshish ki
Na kabhi pata krne ki wajah dhundhi
Jaanti thi main chot mujhe hi lagegi
Aur bahut lagegi
Aur dard bhi hoga bahut hoga
Marham bhi khud hi dhundhna padega
Aur khud hi lagaana padega
Han kain baar tumhare mujhtk pahunche
Badi mushkilaaton k baad tumhare likhe khaton Ko
Main kain ghadi padti hoon
Har bar kuch naya mehsus hone ki chah lie
Jo tumse jude mere dil k dhaage ko
Aur mazbooti se jakad ne ki taaqat liye hain
Mano kbhi ye dhaaga
Meri tumhari chahton aur wadon ka khulega hi nhi
Magar jo sira bandha raha ab tak
Wo sira mera tha
Aur jo chand dinon main
Aasani se khul gya tha
Ya yun kahoon jo tumne khola tha
Apni khushi se apni khushiyon k lie
Wo sira tumhara tha
Magar jaane kyun kbhi maine tumhare sire ko
Dhundhne ki lahasil si koshish nhi ki
Jaanti thi kahin dil main ki
Naakamiyab hi rahungi
Mujhe tumse
Aur tumhare mujhko die dhokhe se
Koi shikwa ya kisi bhi tarah ka tumse gila nhi hai
Na kbhi tha
Shayad yahi wajh thi ki tumhare aur mere rishtey ki miyaad kam nikli
Magar koi gila ya shikwa tumse karti bhi to kyun aur kya
Mere saamne to tum mujhe wahi pehle ki tarah
Nishchal sundarmann aur acche vyaktitva k insaan nazar aate they
Kabhi jaan hi kahan paai main
Tumhare dil main kya hai
Ya kbhi bhi kahan pata tha mujhko
Duniya do chehron k sath chalti hai
Tumse milkar jab juda hui to jaana
Phir khudmain talaash kia in do chehron ko
Magar har bar nakamiyaabi hi lagi
Nhi jaanti ye mera kusoor tha Ya
Mere baba k die sanskaaron ka ek tohfa
Tumhe bhoolne ki koi wajah nhi thi na hai koi paas main mere
Tum bahut door nikl gye
Tum jaante ho main tumhe kyun nhi bhooli
Magar main ab bhi wahin hoon
Usi jagah usi pate par mera ghar hai
Arse beet gye kain
Baras guzar gye kain
Kitne sawaan bhado aye
Koi khabar nhi mujhko
Han bas tum yaad ho
Us yaad ki tarah jo kbhi main bhooli hi nahi thi
Jo mujhe har roz jeena sikhati hai pehle se bhi zyada aur shiddat se
Tum jahan raho
Khush raho
Main jahan hoon
Maana tanhaa hoon
Magar khush hoon
Ye samader
Ye shor
Ye maujain
Ye ugta dhoobta suraj
Ye kbhi neela kbhi laal kbhi narangi to kbhi sleti aasmaan
Ye fizaaain
Ye hawain
Mere pasandida kavi Pablo ki kavitayen
Aur meri khamoshi akelapan
Mujhe kbhi udaas hone aur rehne ka
Kahan kbhi ek mauka deti hain
Main khush hoon
Aur tum bhi khush rehna hamesha taamura..

Tuesday, February 2, 2016
Topic(s) of this poem: love and life,separation,betrayal
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 02 February 2016

Tum jahan ho Tum kahan ho Main nhi jaanti Koi pata nhi tumhara mere paas Na kabhi janne ki koshish ki Na kabhi pata krne ki wajah dhundhi Jaanti thi main chot mujhe hi lagegi Marvelous it's like a narration.... Jaisey dil khol diya ho aapna aapni kalam sey chir kar... Aaj bayan ho hi gyi mohabbat, nafrat ko jeet kr.......

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 06 February 2016

Dil hazaar sahaare dhoond hi leti hai, Zindagi kissi ke liye nahi rukti haan wo dil ke kissi kone main ik chubhti hui yaad banke reh jaata hai aur kissi ki kavitaon main bas jaata hai. khoobsurat ehsaas Abhilasha. keep writing.10+++

0 0 Reply
M Asim Nehal 03 February 2016

Dil chu jane wali kavita hai....Asar daar aur lajawab....10+++

0 0 Reply
Souren Mondal 03 February 2016

'Tum mujhe aksar nhi yaad aate Tum mere andar baste ho badi shiddatt se' Sach me badi hi khoobsurat lafz hai Abhilasha.. Bohut hi umda kavita.. Sukhriya.

0 0 Reply
Kavita Singh 02 February 2016

Tum mujhe aksar nhi yaad aate Tum mere andar baste ho badi shiddatt se.. awesome........

0 0 Reply
Akhtar Jawad 02 February 2016

Atyant sundar, bahut khoobsoorat, lajawab.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success