Tum Chand Lao To Sahi Poem by Sahira Sargam

Tum Chand Lao To Sahi

Rating: 4.5

Tum mere berang nazm ki tabassum ban jao to sahi
tareek mai dungi tum chand lao to sahi
sahar me vaqt hai abhi shab ki dhamak hai
sharab mai dungi tum nasha lao to sahi
kitne hi tajurben ko khamosh kar gayi ye mohabbat
ab alfaz mai dungi tum ehsas lao to sahi
kitne hi jaheen ud gaye uljhan ke bavandar me
rasta mai bataungi tum chaurahe par aao to sahi
mahfil me unki rangat ho to kya, par tere liye
rashk mai failaungi tum kashish banke chhao to sahi
likhenge puri kaifiyat se tumhe sach me
syah mai ban jaungi tum harf ban jao to sahi.

Wednesday, June 28, 2017
Topic(s) of this poem: me
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 30 June 2017

Nai tarz ki ghazal hai. Shukria.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success