Tum Guzra Waqt Ho Mera.. Poem by abhilasha bhatt

Tum Guzra Waqt Ho Mera..

Rating: 5.0

Tum guzra waqt ho mera
Beete hue waqt ki tarah beet gye ho tum
Ab tum nhi anewaala kal mera
Ab tum maazi ho mera
Tum wo gham ho
Jo dard bahut dekar gya hai mujhe
Toda hai mujhe bahut door tak
Magar ab sambhal lia hai maine khudko
Kabse band karke rakha tha maine khudko
Tumhaare sath guzaare har lamhon ki yaadon ki giraft main
Tumhaare sath bitaaye har pal k bandhan main
Magar ab main aazaad hoon
Aur tumko bhi aazaad kar dia hai maine
Har bandhan se har phere se har kasmon se
har waade se
Na tum ab meri zindagi main kbhi aana
Na main tumhari zindagi main rahungi
Tum khush raho ya na raho
Ab hame fark nhi padta
Tum kahin bhi raho
Ab hame fark nhi padta..

Saturday, January 9, 2016
Topic(s) of this poem: freedom,life,love,relationship
COMMENTS OF THE POEM
Rishi Thakkar 11 January 2016

Guzra waqt maata pita ki daant apno se man mutao aksar Kuch de k jaata hai.. Jo insaan iss dard se Kuch seekh paata hai.. Wahi har manzil aur jivan ki har chinoti mein uttirna ho jaata hai.. Well expressed abhilasha :)

0 0 Reply
Rajnish Manga 10 January 2016

Tum guzra waqt ho mera / Beete hue waqt ki tarah beet gye ho tum Magar ab main aazaad hoon / Aur tumko bhi aazaad kar dia hai maine Har bandhan se har phere se har kasmon se सुब्हानअल्लाह! ऐसी गज़ब की बेलाग अभिव्यक्ति को हमारा नमन. बड़ी लगन से बनाये गये रिश्ते जब टूटते हैं तो बड़ी टीस देते हैं. लेकिन उस टूटन से बाहर निकलना और फिर से अपना आत्मविश्वास कायम करना तथा अपनी पहचान के खो गये सूत्रों को खोज कर पुनः खुद में स्थापित करना बहुत बड़ी चुनौती है. अद्वितीय. धन्यवाद.

0 0 Reply
M Asim Nehal 09 January 2016

Dil ko choone wali nazm hai.....Ye dard bhar jaaye toh achcha hai....Bahut umda....100+

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success