Tum Jo Agar Saath Hote Poem by Rishi Thakkar

Tum Jo Agar Saath Hote

Tum jo agar hote...

Tum jo gar hote, Kuch sapne apne sang hote..
Kuch aansu aankhen na khoti
Kuch dard apne na hote..

Kuch savere ka sooraj aur suvarn hota
Kuch shaamon ki chandni aur madhuram hoti..

Kuch lamhe aur yaadgar hote..
Kuch pahar jab mujhme tum aur Tumme hum khote..

Kuch dil ko Malham mil jata
Tu meri rooh me aushadhi ki tarah mil jaata..

Tum jo gar hote
Kuch aur sapne sang hote..

Wo Tanhaayi waale bhoogol vriksha jo daravne bhooto ki tarah mujhe khauff ka parichay de jaate thhe..
Wo shaam k kaale baadal wo mujhe ghum ne baatein thhe..
Wo mann ka deepak jo prajwalit hone se ghabrata thha..

Ye sab mere jeevan ke saaye na hote..
Tum jo agar hote...

Wo tumhari hasi ki maddham leher.
Wo tumhari baaton ki garam saason waale peher..
Wo tumhare aanchal tale khudko chupana..
Wo tumhare liye kavitaein sunnana.
Wo tumhara unko sunnke aankhein jhukaye sharamana..
Kuch yaadgar Sparsh abhi bhi zehen mein gungunate hain..
Tumhare har pal mujh sangh hone k geet gaatein hain..
Mann Ab bhi ye gungunata hai
Vastavikta ki sacchai jante hue bhi yaadon mein taro sa jhilmilata hai..

Ye yaadon ke yaadgar taare na hote..
Tum agar zindigi mein aaye na hote..

Tum jo agar saath hote Kuch sapne haqueeqat hote sirf sapne na hote...   
 

Tuesday, January 19, 2016
Topic(s) of this poem: love,miss you,relationship
COMMENTS OF THE POEM
Kavita Singh 03 September 2016

tum jo agar saath hote, zindagi ke mayne hi kuchh aur hote...beautiful creation....

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 20 January 2016

Raaste zindagi k kuch aur behtareen hote Yaadon k guldaste main kuch aur mehekte phool hote Beete hue zindagi ka har pal lamha kuch aur mukaddas hote Beautiful and lovely sharing.....beautifully narrated....thank u for sharing :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 20 January 2016

Thanks for the lovely words abhilasha :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success