Tum Ne Kaha Tha! Poem by Aarzoo Mehek

Tum Ne Kaha Tha!

Rating: 4.2

Tum ne kaha tha
Zid karte hai jo bhi
Toot ke reh jaate hai
Main ne tumhe roka tha jaanaN
Aur itni si khwahish ka izhaar kiya tha
Mujhko chhor ke mat jaao
Tumne meri baat na maani
Hote-hote
Apni zid ne akhir mujhko toR hi daala
Jeevan ke bekhwaab safar main
Reza reza bikhri hun main
Gham ki anch main pighli hun main
Mujh par ik ehsaan karoge
Mere saare khwaab jala kar
Mere badan ki raakh uda do
Pyaar ke saare deep bujha do
Mujhe rihaai do is qaid se
Jis ki ghutan main
Main ne hijr ke saal bitaaii
Khud hi saare bojh uthaaii...! ! !

© Aarzoo Mehek

Tum Ne Kaha Tha!
Friday, January 22, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,nazm,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Kavita Singh 06 February 2016

Aur itni si khwahish ka izhaar kiya tha Mujhko chhor ke mat jaao Tumne meri baat na maani Hote-hote Apni zid ne akhir mujhko toR hi daala Jeevan ke bekhwaab safar main Reza reza bikhri hun main awesome......

2 0 Reply
Akhtar Jawad 04 February 2016

Aarzoo Mehek has left a lot for the reader. It's a wonderful poem but the tragedy painted in this poem is wide open for reader's own interpretation. Whatever the interpretation may be it's a poem that touches the heart.

1 0 Reply
M Asim Nehal 26 January 2016

Ek akelepan ka kya khoob ehsaas karaya aapne, dil mein khalipan ka jo kamra tha usko kya khoob khatkhataya aapne...Loved it......Awesome.10++++

4 0 Reply
Edward Kofi Louis 22 January 2016

Hote-hote! Thanks for sharing this poem with us.

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 22 January 2016

I had protected you although you were saying. Having wise protection for life is definitely revealed with words of feeling and knowledge in this wise poem. Very thoughtful and expressive poem shared really.10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success