Urooj-E-Aadmiyat Poem by Kazim Jarwali

Urooj-E-Aadmiyat

Rating: 2.7


Agar mai aasmaanon ki khabar rakhta nahi hota,
Ghubaar-e-pa-e-geti mera sarmaaya nahi hota.

Urooj-e-aadmiyat hai mizaje khaaksari mai,
Kabhi mitti ka daaman dhool se maila nahi hota.

Agar hum chup rahein to cheekhne lagti hai khamoshi,
Kisi surat hamare ghar mai sannata nahi hota.

Main ek bhatka hua adna musafir aur wo suraj hai,
Mere saaye se uske qad ka andaaza nahi hota.

Hayat-e-nau ata hogi humein besar to hone do,
Bahaar aane se pahle shaakh par patta nahi hota.

Hamari tashnagi sehraon tak mehdood ho jaati,
Hamare paaon ke neechay agar dariya nahi hota.

Safar ki saataein aati to hain ghar tak magar 'Kazim',
Kabhi hum khud nahi hotay kabhi rasta nahi hota.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Kazim Jarwali

Kazim Jarwali

Jarwal / India
Close
Error Success