Us Barkha Ki Baat Alag Thi-[ A Poem In Hindi] Poem by Om Chawla

Us Barkha Ki Baat Alag Thi-[ A Poem In Hindi]

Ab kay baras bhi purvaiya chali hai
Ab kay baras bhi baadal umdey hain
Ab kay baras bhi boondein barsi hain
- - - Par us barkha ki baat alag thi.

Ab kay baras purvaiya se
Badan main sirhan nahein hoti hai
Ab kay baras boondaniya barsein to
Man mein agan nahein lagti hai
Ab kay baras man ki tadpan se
Badal to hain uthtey aankh nahein tapki hai,
Yeh barkha kitni sooni hai
- - - -Us barkha ki baat alag thi.

Man ko barkha ab bhi bhati hai
Par tub yovan thha
Tan man ki ichha mein jeeta thha
Par samay kay aagey yeh dhalta tan
Budhi se hai har cheeze parakhta,
Ab yovan ki ichha mein
Ik chhalawa lagta hai
Yeh barkha kitni sooni lagti hai
- - - - Us barkha ki baat alag thi.

Yovan jo beeta ichhaien badlien,
Aur badal gaya unka arth bhi,
Man nahein ab budhi hai karti,
Ichhaon ka aanklan bhi.
Ichhaon ka maya jaal woh,
Palak jhapaktey lupt hua jo,
Ab makkad jaal sa lagta hai;
Reh jaati hai bas ik yaad si,
Jo reh reh kar peeda hai deti,
Phir bhi yaadein beetay lamhon ki,
Apni meethas na khoti hain
Woh barkha ik beeta swapan hai lagti,
- - - - Us barkha ki baat alag thi.

Tuesday, July 15, 2014
Topic(s) of this poem: love and pain
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success