Usey Soch Ker Khoob Roya Karon Gi Poem by Farzana akhtar

Usey Soch Ker Khoob Roya Karon Gi

Usey soch ker khoob roya karon gi
Judaee pe ab mein bharoosa karon gi

Na ab dil ki chowkhat pe utrey ga koi
Mein dast-e-saba ko marorra karon gi

Khizaan ke zamane ko rahat samajh ker
Baharon se dil mein na chota karon gi

Achooti saza aazmaon gi khud per
Mein aap apna dil rezah rezah karon gi

Achanak kisi roz wo aa bhi jaaye
Tau mein jashn-e-furqat manaya karon gi

Jala ker diye apni palkon pe dheroon
Udaasi ko apni chupaya karon gi

Bas ik aakhri apni khwahish bata ker
Kounwein ke hawale ye sikka karon gi

Purani haweli se har roz naina
Mein aaseib saarey nikala karon gi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success