Vishwas (Hindi) Poem by Jay P Narain

Vishwas (Hindi)

vishwas woh phoolon ki beli hai,
jiski her kali me bhagwan nazar aate hain,
avishwas woh patjhar hai,
jisme saari gulshan birani nazar aati hai.

vishwas ho to meri akriti men hari hain,
avishwas me mere vicharo me kewal main hi nazar aata hoon.

vishwas se asafal ki sadhna poori hoti hai,
avishwas se saflta me bhi adhoori trishna nazar aati hai.

viswas se niraasha bhi aasaha ban jaati hai,
aviswas se aasha bi niraash nazar aati hai.
.
vishwas ki kadi me paraye bhi apne nazar aate hain,
avishwas ki duniya men apne bhi paraye nazar aate hain.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success