Vo (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Vo (Hindi)

Sunahari hawao si sunahari si vo,

Chanchalta ke suron me beheti vo,

Kagaj ki pataang si masti uski,

Neele aakash si kabhi shaant vo,

Bhutal me badalon ki chaav kabhi,

To kabhi pyaase ko shitalta ki aas vo,

Khusbon ki tarha kisike har saanso mein vo,

Jo kabhi janmo saath ka waada kare vo,

Ho jo vafaon pe kisiko yaqeen aisi vo,

Phir dil jise chahe aisa dil nasheen vo,

Phool vo, to phulon ki bahar bhi vo,

Dil ko behelaye aisa bhaav vo,

Vo chirag jo raushan jindagi karde,

Chahat jo kabhi aankhen num karde vo,

Kabhi khilti dhup si muskan vo,

Kabhi kisi ke dil ka armaan vo,

Fir jiase ek mamta ka vo thanda aanchal,

Kabhi ek dost ka haaton me haat vo,

Kisi sache dil ki bhakti ka sartaaj vo,

Kisi ke mann mandir ka niwas vo,

Usi se hote hai din aur raat,

Suraj ki peheli kiran, kabhi jugnuka prakash vo,

Barsat vo, phuhaar vo,

Kahin paani, to kahin boondo ka bhaas vo,

Raas vo, malhar vo,

Kisike jiwan ke suro ka raag vo,

Lafzon se jiski paribhasha hoti nahin poori,

Ek mukleez pe hi pyar aata aisi vo,

Koi use yaad rakhne ki khaye kun kasam,

Jab kisi ko na bhulne ka waada kare vo.

Vo pyaar jo kisiki duniya badal de,

Vo meet, to kabhi humrahi ka humraas vo.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
08.01.2014
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success