Waqt..Ek Safar.. Poem by abhilasha bhatt

Waqt..Ek Safar..

Beete hue waqt se sawaal karna
Jayaz hai ya nhi Kya pata
Kuch fayada hai ya nhi ye nhi jante
Maazi agar khushnuma ho
To aankhon main yaad krte hue sukoon utar aata hai
Aur agar dard main beeta ho
To aankhon se kadwe aansoo banke nikal aate hain
Agar beete waqt se sawaal kro to jawaab khud se hi miljaaya krta hai
Magar anewale waqt se Kuch pucho
to wo ghoor kar pehle dekha karta hai
Phir apni akdi gardan k sath apne rutbe ko aur bhi akda kar nazarandaaz karke nikl jaata hai
Ye kehte hue Chup raho aur intzaar kro
Chalta hua beet te waqt main shamil hone jaa raha waqt kinhi budhe buzurg ki tarah sar par hath rakh kar kehta hai
Jo hoga accha hi hoga
Jo beet gya use bhool ja
Jo anewaala hai uski fikr naa kar
Kyunki wo bhi beet jayega meri tarah
Budha hojaega meri tarah
Aur rooh ban jaege markar rooh bane beete hue waqt ki tarah
Tab jaana maine
Waqt bhi jawaan hota hai budha hota hai
Marta hai markar rooh bhi banta hai
Waqt bhi insaan ki tarah ek safar tey krta hai..

Wednesday, January 13, 2016
Topic(s) of this poem: life,me,time
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 27 November 2016

Kya baat hai...Maza aagaya.10++

0 0 Reply
T Rajan Evol 14 January 2016

Kuch fayada hai ya nhi ye nhi jante Maazi agar khushnuma ho To aankhon main yaad krte hue sukoon utar aata hai Aur agar dard main beeta ho

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success