Waqt Firak Ka! ! Poem by Shagun Khera

Waqt Firak Ka! !

waqt firak ka hai aisa...
jiska visaal kuch nahi....

main dhund raha hu kuch aise jawab..
jinke sawal kuch nahi...

sochkar tere baare mein aksar, khd se bigad jaata hu main..
kaise samjhau is dil ko ke mere liye tera khayal kuch nahi

aayega woh ek din is halaat-e-bebasi ki marz lekar,
yahi sochkar thorda aur jeeta hu, ke shaayad filhaal kuch nahi..

aurak ne bhi kiya tha..tabiyat se ek bewaafa ko pyar kabhi...
aaj wahi kehta hai zamane ko..woh yaar, aur woh uska jaamal kuch nahi..

COMMENTS OF THE POEM
Aftab Alam Khursheed 28 November 2012

ye to waqt ki baat hai, thode bikhare jajbaat hain/ har khuch ke maaene hon ye nahi hotaa/ kuch maene umadte hain jise bechaini bhi kahate hain/ raat ke ankho me ansu shabnam ke hain/koi puche inse, khushiyon ke hain ya gham ke hain

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success