Wo Tasawar Bhi Kya Tasawwur Poem by M. Asim Nehal

Wo Tasawar Bhi Kya Tasawwur

Rating: 5.0

Wo tasawar bhi kya tasawwur
Ki jis mein tera khayal na ho
Tu jab se bas gayi hai is dil mein
Phir zindagi ka sawal kyun na ho

Mai to roz jee raha tha
andheron mein Akele akele
ye kaisi roshani mein le aayi zindagi mujhko
ab is ka bawal kyun kar na ho

Waqt kat raha tha
Simat ke kahin calendar mein
Ab aftab aur mahtab
Ki tarah chakkar lagate hum hain

Kuch toh baaki thi
Aabroo mere wajood ki jahan mein
Deewano sa salook karte hue
Parwanoo ki tarah hum hain

Ruswa na karna meri mohabbat ko tum
Hum ne dil bichaya hai teri raah mein
Rakhna kadam sambhal kar
Kahin khoon na nikal aaye in zakhmo se

Badi muddat se ye dil tarashte rahe tere liye
Kya ye murat pasand aayegi ab sochte hain ye

Thursday, December 3, 2015
Topic(s) of this poem: love,love and life
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
वो तसव्वुर भी क्या तसव्वुर
की जिस में तेरा ख्याल न हो
तू जब से बस गयी है इस दिल में
फिर ज़िन्दगी का सवाल क्यों न हो

मै तो रोज़ जी रहा था
अंधेरों में अकेले अकेले
ये कैसी रोशनी में ले आई ज़िन्दगी मुझको
अब इस का बवाल क्यों कर न हो

वक़्त काट रहा था
सिमट के कहीं केलिन्डर में
अब आफताब और महताब
की तरह चक्कर लगते हम हैं

कुछ तो बाक़ी थी
आबरू मेरे वजूद की जहाँ में
दीवानो सा सुलूक करते हुए
परवानो की तरह हम हैं

रुस्वा न करना मेरी मोहब्बत को तुम
हम ने दिल बिछाया है तेरी राह में
रखना कदम संभल कर
कहीं खून न निकल आये इन ज़ख्मो से

बड़ी मुद्दत से ये दिल तराशते रहे तेरे लिए
क्या ये मूरत पसंद आएगी अब सोचते हैं ये
COMMENTS OF THE POEM
T Rajan Evol 10 February 2016

Bahut badita................10

1 0 Reply
Savita Tyagi 05 December 2015

Nice Gahalot. A pleasure to read. Thanks for sharing.

1 0 Reply
Souren Mondal 03 December 2015

Maan gaye Asimji.. Aapki ghazale par ke unhe bas gungunane ka jee kar ta hai... Khoobsurti se mohabaat aur dil ke aarmano ko bayan karne koi apse sikhe... Iss wale ne dil ko bohut gehrayi tak chuya Asimji.. Bohut, bohut, bohut hi umda hai... Sachme wo tasawar bhi kya tasawwur jis me unki khayal na ho? Wo gulshan bhi kya gulshan jo na mehke unki khushbu se? ? Maza aa gaya.. Bohut, bohut sukhriya.. More than perfect... A gem... Thanks..

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success