Yaad...(In Hindi) Poem by SINGH SINGH

Yaad...(In Hindi)

Rating: 5.0


Yun to har pal hum yaad unhe karte hai,
Par iska matlab yeh to nahi,
ki mohabbat hum unhe karte hai.

Aakhir mohabbat k alawa dosti bhi koi cheez hai,
Keh do unse ki dost vo mere azeez hai.

Yaad to hum unhe itna karte hai,
ki aashiq apni aashiqi bhul jaye,
aur apni mohabbat ko dost banana chahe.

Par iska matlab yeh to nahi ki,
ki vo bina soche samjhe hi,
Jo dil mein aaye,
Usse lafzo mein byan kiye jaye.

Fir b hum unhe yaad jarur karte,
kya iska matlab yeh nai ki
Hum apne rishte ki ahemeiat hai samajhte.

Yun to unki khamoshi bhi hume raas na aati,
kyunki vo, shayd uss-se jyada byan kar jati.
Tab to unki aawaj sun-ne ko dil tak taras jata,
Aakhir yeh mein kaise sehn kar pata.

Kaash essa hi hua hota,
kam se kam naam ka rishta to reh jata.
jiske bahane se beetein lamho ko yaad to kar pata.

Lekin USNE(khuda) ne kuch aur hi soch rakha tha,
Usko haqueekat jo samne laani thi,
Dhere dhere khamoshi mein lafz bahar aane lage,
Aur humare beech doorie badane lage.

Lafzo ki hum parwah na karte,
Agar vo kisi aur ki zubaan pe hote,
Lekin hum unn lafzo ko kaise na sunte,
Jo kabhi humare hasne ki vajah thae hote.

Ab to vo lafz,
na hasate thae na rulate thae,
bass ek gehri soch mein chodd jate thae.

Ki aakhir kyu har pal yaad karte thae hum unhe?
Shayad sach mein mohabbat karte thae hum unhe...

COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 22 December 2015

Bahut badhiya kavita hai...10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
SINGH SINGH

SINGH SINGH

INDIA (Kanpur)
Close
Error Success