Yeh Adaayein Poem by Farooq Jamal

Yeh Adaayein

Yeh adaayein, yeh mast mast hawaayein
Suno, suno na, kya kehti jaayein
Yeh patjhad ka jaana, saawan ka aana
Ye ghataaon ka chhaa jaana
Ye adaayein, ye mast mast hawaayein, suno, suno na kya kehti jaayein -2

Ye patto ka jhadna
Ye paani ka barasna
Is mausam mein bhala kyun tarasna
Ye nadiyo ka behna
Mera tujhse kuch kehna
Ki tu mere dil mein rehna
Ye sab hai kahaani
Maujo ki rawaani
Do pal ki jawaani
Deewani deewani

In panchhiyo ka udna
Ye do dilon ka judna
Ek mod pe aakar mudna
Suraj ka ugna
Phir shaam ko dhalna
Dil ka phisalkar sambhalna
Ye sab hai kahaani
Maujo ki rawaani
Do pal ki jawaani

Ye adaayein, ye mast mast hawaayein, suno, suno na kya kehti jaayein -2

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success