Zaroori To Nahi. (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Zaroori To Nahi. (Hindi)



Meri mohabbat he hai wo,
koi majboori to nahi,
Woh mujhe chahe, ya mil jaye,
ye zaroori to nahi.

Yeh kya kuch kam hai,
ke basi hai vo mere dil me,
Ab Woh saamne ho meri aankhon ke,
ye zaroori to nahi.

Jaan kurbaan meri,
un ki har muskurahat pe,
Chahat ka takaaza hai yahi, vo samjhe
ye zaroori to nahi.

Ab vo nikal ke aankhon se,
yaadon main ja basi hai,
Yahi hai qurbat-e-chahat, vo bhi chahe
ye zaroori to nahi.

Unke taraf uthte hi ruk jaate hain,
kadam chalte chalte,
Kiye waadon say he darta hoon, koi toot jaye
ye zaroori to nahi.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Anish Chouhan

Anish Chouhan

Ballarshah
Close
Error Success