Zindagi Me U To Poem by Krishnakumar Mishra

Zindagi Me U To

Rating: 5.0

Zindagi me u to kafi log ate aur jate h
Kuch dilo ko to kuch Dimag ko bhate h...
Kuch Zindagi bhar saath dete h
To kuch bich raah me chod chale jate h...
Kuch ko hum to kuch hume apna banate h
Bhaagti daudti is zindagi me ye rishtey hi hume hasate h
Aur kabhi kabhi bada rulate h...
Kabhi nafrat karte h
Aur kabhi dher sara pyaar barsate h..
Galtiya karne pe tokte h kabhi
Fir unhe thik karne ki rah batate h...
In logo me koi ek shaqs
Dil k Kareeb aa jata h...
Na jane ye dil q use sabse alag pata h...
Dosto se pucho to vo is ehsaas ko pyaar batate h...
Fir kya ye dil bimar hota h
Ishq ka ise bukhar hota h...
Unme hum apne khuda ko pate h
Pujte h unhe dhadkan ki har saans k saath unhe chahte h...
Fir kuch dino baad ye ehsaas kam hota h
Jane q hume gum hota h
Unki yaad me fir hum Ashq bahate h...
Yaar humare Bewafa keh kar unhe bulate h
'Bhul ja yar tujhe usse achi mil jaegi'
Kehkar hume samjhate h...
Kamine Khud dil judwa kar tutne par marham lagate h...
Gum ho ya ho khushi har waqt saath nibhate h
Shayad isliye 'Kaminey' hi sahi par vo Dost kehlate h...

Friday, February 5, 2016
Topic(s) of this poem: love and friendship
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success