Zindegi Ke Un Galiyon Mein... Poem by Tapashya Das Sinha

Zindegi Ke Un Galiyon Mein...

Rating: 3.5


Ye zindegi ki duniyan,
khamosh bandh reh jati hai akeli,
woh choti si muniya...
aksar;
pyaar ke un anjaan galiyon mein,
mohabbat ke un dilkash pinjere mein,
zindegi to mil jate hai,
per;
zindegi ke un galiyon mein,
waqt ke un angeenat pinjere mein,
sacchi chahat pyaar ke
shayad hi kabhi mil pate hai...
gumshuda hota hai ye jism,
zindegi ke un galiyon mein...

aasan hai ye bayan karna
samay se bada marham koi nahi,
aasan hai ye kehena
waqt se bada farishta koi nahi,
per;
aye jab wo waqt banke khud katil,
aur
samay khud banke zakham,
aye zalim duniya;
jab un dard per marham laganewala koi nahi,
aur
tadpe ye rooh dard mein,
tab;
khoon ke aansu chalke,
zindegi ke un galiyon mein...

chita aur chinta,
apni hi ek nayab duniyan banati hai
jeevan-mrityu ke baag mein,
koi zindegi ki
to koi maut ki haansi sunati hai...
jeekar to marte hai har koi,
per
jeete ji marte hai bus wohi...
chita to jalati hai jism ko
maut ki khamoshi mein,
per
chinta wo aag hai
jo jalati hai rooh ko,
zindegi ki khamoshi mein,
tab
gaddar sa lage ye duniya,
zindegi ke un galiyon mein...

wo zakham hi kya
jo dard na dein zindegi ke gam mein,
wo yaadein hi kya
jo sahara na dein zindegi ke akelepan mein,
wo pyaar hi kya
jo imtehaan na dein zindegi ke pagalpan mein,
zindegi to har kisi ke paas hai
jism ke aashiyanon mein,
per wo zindegi hi kya jo jeene ki aas na dein
zindegi ke un galiyon mein...

aksar ye dil,
zindegi ke imtehaan se kuch yu guzarta hai,
hoke bebas ye taqdeer
apne zindegi se dar jata hai...
yu guzarta hai ye dil zindegi ke bechaini mein,
ye dil;
kabhi jane kabhi anjane,
dhadakna bhul jata hai,
saanse to chalti hai
per
khabhi jane kabhi anjane,
saans lena bhul jati hai
zindegi ke un galiyon mein...

aaj hai ye zindegi khafa,
saare raste lage bewafa,
manzil is duniyaan ki hai
kosoo door,
chal rahi hai saang ye berehem duniya majboor...
kisse puchu kaunsi hai rah meri
in andheri rahoon mein,
jahan hai din wahi hai raat,
kisse karu baat
is duniyaan ki bheed mein,
khadi mai ek anjaan,
aanjan hoon mai aaj
tha koi apna mera,
tha ek anokha bandhan kisise
hoon mai akeli
hai sab door aaj
zindegi ke un galiyon mein...

bebas hoon mai
meri zindegani,
kambakht ishq
majboor ye jawani,
shayad
ye ghutan bhari zindegi hi meri kahani...
kaanton ki sej pe leti hoon mai,
kyu ki
beta nahi, ek beti hoon mai,
kahi door
hoke choor
toot chuki hoon mai,
zindegi ke un galiyon mein...

ab khushi na mile un khushiyon mein,
gam na mile un takleefon mein,
sach to ye hai doston!
khushi aur gam saath mile,
zindegi ke un galiyon mein...

ye safar mera hai
aur manzil meri,
hai ye zindegi meri
jiski kahani abtak hai adhuri,
khub sare sapne hai in aankhon mein,
jinka koi kinara nahi
aksar;
pati hoon khud ko un sapno ke kshitij mein
jab hoti hoon
zindegi ke un galion mein...
pareshani to har zindegi ka dastoor hai,
pareshani to har zindegi ka ek
unchaha saath hai,
aaj har zindegi doobi hai pareshani ke geherai mein,
aaj har kahani doobi hai pareshani ke tanhai mein,
kahi kho gayi hai wo khushiyaan,
jo thi kabhi gaati muskurati,
zindegi ke un galiyon mein...

COMMENTS OF THE POEM
Animesh Sinha 28 December 2013

I lyk it.... Soo much

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success