Prabodh Soni

Prabodh Soni Poems

'Ghalib' sharab peene de masjid men baithkar,
Yaa wo jagah bataa jahan khuda nahi

Masjid khuda ka ghar hai, peene ki jagah nahi,
...

mana ki alfaz kam pad gye,
par andaj-e-baya kam na tha..
mohabbat me hmari fasana kam na tha..
gustakh to dil tha hamara..
...

utar deta mai, ek hasti huyi tsveer teri bhi
ek tasveer in rango se ya mere shabdo se
par teri masumiyat ke piche chipi
kisi dard ki iss diwar ko kese tod pata mai
...

sambhav hai sab kuch
asambhav kuch bhi nhi
kar hosale buland
door kuch bhi nhi
...

koi khata ho to batana
kese raza ho to batana

hum to hai parinde samandar ke
...

gadi aane ke announcement ho rha tha.. me aur mere parivar wale train ke darwaje par saamn aage badaye, kuch haatho me liye train ke rukane ke intjar me khade the, train ke rukte hi bhaiya haath me ateji liye ek bag ke saath pahle utare unke baad me utra, khda ho gya 4 kadam aage jaha saman rakha tha. Garmi ka mausam tha aur pasina tapak rha tha hum log yaha kisi parichit ki shadi attand karne aaye the me lagbhag 14- 15 saal ka tha shayad hum sab utar chuke the aur mammi saman gin rhi thi, sab saaman sahi hai ke nhi malum kar rhi thi. Pass hi ke dibbe se kuch aur paricht utare sayad wo kisi beech wale staion par hi chade the. Wo sabhi wahi the, ladki wale, jinke yaha hum jaa rhe the. sabhi logo ki beed mai meri ekaek najre tahar gyi mano saanse aur dhadkne chalna bhool gyi ho, ye meri usse pahli mulakat thi, meri taraf wo bhi ke pal ko dekhi, sharma ke aankhe nichi kar li.

kya hua kya laga kya socha kuch na malum hua bus me thar gya aur sab kuch bhi tahar gya kuch pal ko. hum sabhi alag alag auto kar dhrmshala pahuche jaha sabhi ka tika laga swagat hua. Iss baar ek baar fir dikhi mujhe ek jhalak bhar uski par ab dhadkne thami nhi par bhaag rhi thi sarpat ghodo ki tarah, me laghbhag gum ho gya tha kahi apne me hi bhitar hi bhitar, samaj ke pare the sab ye ahsas mane kabhi hua hi nhi tha esa kabhi.
...

darr hai muje jalim, na jane kiss cheej ka..
ghar me pada hai pehra, har cheej ka..

chod de baniya mori dekh le na koi..
...

Sambhav sab kuch hai asambhav kuch bhi nhi
kar tu koshis door kuch bhi nhi

sindhu ko laang sumeru ko ulangh
...

tere mere darmiya jama hai kitne khwab
ke dil hi dil me saja liye hazaro khwab
...

Vrandvan ki galiyo mai
Wo nipat akeli radha pyari..
Bethi ras rasayyiy ki raho mai…
Nipat akeli radha pyari..
...

सम्भव है सब कुछ
असम्भव कुछ भी नहीं
कर होसले बुलंद
दूर कुछ भी नही
...

koi kuch kahe; koi kuch kahe
kar wahi jo tera dil kahe

kahte hai kahne wale
...

कांच सा दिल
मुहब्बत में हाय
बिखरा यार
...

tere labo pe ye hasi badi pyari hai
tere nighao me masti badi pyari hai
yun julfo me teri, kahi kho gya dil mera pr
teri julfo ki ye ghtayeN badi pyari hai
...

udit hota chandra neel varan
neel nisha neel nabh neel gagan sang
udit hota chandra neel varan
...

hai kya malal mujhko apne jivan se..
sab kuch to mila paya chaha jo jivan se..
adhbhud santi bhi to hai aur hai santosh bhi..
musibato me mila apno ka sath bhi..
...

paka pipasu sun sun agyani..
badbole bade ahnkari abhimani..

kahte chalte chalte kahte..
...

Chand ne apne aas pass se badal hata liye
Mano chand kah rha ho..
bahne do chamkne do.. chandni ko..
Prakas jo fela rha hu mai..
...

hai maa jab tum gaati ho,
gungunati ho geet jab wo,
tumhe hai priye sada se jo
...

Prabodh Soni Biography

Prabodh Soni is an artist and writer from India)

The Best Poem Of Prabodh Soni

Ghalib - Iqbal - Faraz - Soni (Aur Sharab)

'Ghalib' sharab peene de masjid men baithkar,
Yaa wo jagah bataa jahan khuda nahi

Masjid khuda ka ghar hai, peene ki jagah nahi,
Kaafir ke dil men ja, wahan khuda nahi.

Kaafir ke dil se aaya hoon ye dekhkar 'Faraz',
Khuda maujood hai wahan par use pata nahi.

'soni' liye betha hai sharab halak bharkar
dekh khuda sine me sharab utarti nahi

Prabodh Soni Comments

Prabodh Soni Popularity

Prabodh Soni Popularity

Close
Error Success