Meri Tulsi Tera Christmas Tree Poem by Pushpa P Parjiea

Meri Tulsi Tera Christmas Tree

Har lamha hai beimt! ha kimti
Aa gaya hai shantakhushiyan dene ko sabhi

Kuchh kahte kuchh sunte dekha suna kisiko hamne abhi

Ki, pujo tulsi ko or chhod do christmas tree.
Kisi ne di duhaidharmchust banakar rahne ki

Koi kahe pachchis decembar ko manao tulsi din

Par socho samjho or kaho ki krishna ne
hame eisi sikh kab di ? ..kanha ne geeta me kabhi na kaha ki.
Geeta gyan sirf hindu, musalmaan, ya sikh ki
Ye geeta gyan to hai sabhi manav jati ki

Aaj bhi koi sachha santye nahi kahta ki
insa se karo nafarat na kabhi kisi bhi,
dharm ki kisi sachhe sant nebeijjati ki

Rakhe insa bas manavta ka dharm yahi,
hai usake liye kafi
Har dharm k nam alag par hai
sidhdhant ek hi
prem or tyag yadi apna lo,
hai swarg dharti par yahin

Ek sawal mera unase jo kahte hain
meri tulasi tera crismas tree

Jab bimaar hokar jate chikitsak ke pas,
tab ye kahte suna? kisiko pahle batao doctor jat apni.

Tab mann me bas ek bat rahti.
kar de thik ye doctor mujhe jaldi sejaldi

Isliye karbadhdh vinti eise logo se
dur karo nafarat ki deevaren ye na kaho meri tulasi or tera crismas tree.

Wednesday, December 27, 2017
Topic(s) of this poem: abc
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
abc
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success