Seetam-E-Yaar Poem by Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

Seetam-E-Yaar



Zakham de ke khud hi duaa dete hein,
Wo giraa ke khud hi uthaa dete hein.

Wallah unke labhon ki hansi kya hai,
Wo muskara ke zamane ko jalaa dete hein.



Mast neghahon se bekhud karein,
Phir bekhudon ko diwana banaa dete hein.


Sath sath chal ke yaadon ko abaad karein,
Phir Mehtab bhul ne ki salaa dete hein

(copyright)

Seetam-E-Yaar
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Copyright: - don't copy
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 25 June 2018

Beautiful ghazal, liked it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

Advocate Mehtab Gulzar @ J & K High Court at Jammu Mehtab

R/o Sagrawet, Tehsil Darhal, District Rajouri and State J&k, India
Close
Error Success