ritika thusoo

ritika thusoo Poems

Toofano se khelna seekh liya hai meine
Tanhayiyo ko jhelna seekh liya hai meine
Apne jab anjan ho jate hai, to gum se muh ferna seekh liya hai meine
...

Bateen wohi hai magar alfaz badal jaye hai
Log wohi hai magar unki chahatein badal jati hai
Raah to ek hai magar manzile badal jati hai
Sath chalte musafiro ki rahen batt jati hai
...

The Best Poem Of ritika thusoo

Ab Mujhe Paravh Nahi Hai

Toofano se khelna seekh liya hai meine
Tanhayiyo ko jhelna seekh liya hai meine
Apne jab anjan ho jate hai, to gum se muh ferna seekh liya hai meine

Tere door rehne ka gum to rahega sada mujhe
Par anjane mein teri judie ne bohot kuch sikha diya hai mujhe

Ab kuch hai magar kisi cheez ki chah nahi
Raste par chal to rahe hai magar manzil kahan hai malum nahi

Anjan jahan hai magar ab koi parvah nahi hai
Ab itne dard jhele hai is dil ne ki isme ab jaan hi nahi hai
Sab jaan kar bi anjan banti hun
Kyunki dil abi bi hai magar isme jeene ki aas nahi hai

Ab in sab baton ki aadat ho gayi hai magar is baat ki parvah nahi hai
Mein dukhi to hun magar iski koi wajah nahi hai

ritika thusoo Comments

ritika thusoo Popularity

ritika thusoo Popularity

Close
Error Success