Khaja Shaik

Khaja Shaik Poems

Ho rubaru, Teri dilkash nazron mein kho gaye..
Khubsurti par janam, Ik pal mein fida ho gaye..
In be-talab nazron se, Tera deedaar kar gaye..
Tujhe banaye us rab ki, Khub tareef kar gaye..
...

Kar haunsla buland, Karle iraade mukammal aaj abhi..
Na sonch aane wale kalki..
...

Apne jab apne na rahe..Apnon mein gair banke hum rahe,
The aankhon mein jo haseen sapne..Vo sapne ab na rahe,
Guzree-beeti yaadein..Palkon pe aansu banke ab tehre,
Zindagi bhi ab...
...

Ho iraade nek, Manzil ko pane ki chah badi..
Haunsle khud ba khud, Buland ho jaate hain..
Kamiyaabi ke raste, Gaib se khul jaate hain..
Bas..
...

Guzra hua kal khone ko hai, Ek naya pal ane ko hai..
Beeti yadon ko samete, Saare ghumon ko dafan ke..
Nek mannaton aur khwahishon ko jholi mein bhare..
Chale ab..Zindagi ka ek aur mod, Yun par kar chale..
...

Sarhadein-o-Karwan, Paar kar chale,
Kuch Yadein, Baatein samet ke chale,
Kuch apne, Kuch sapne banaa chale,
...

Ho haunslaa buland, Kuch kar guzarne ke nek iraade,
Zameen-o-aasman bhi, Hain jhukate sar tumhare aage! !
...

Ho likhi taqdir aisi, Ibadat mein guzar jaye zindagi..
Tere hi ibaadat mein rehkar, Kabz ho jaaye rooh meri..
Marte waqt chehre par, Ratti bhar ka shikan naa rahe..
Bas honton pe muskaan, Dil ko tasalli, Aur labon par..
...

Dhundla dhundla chehra..Rehta ojhal ankhon mein meri,
Bujhtaa sulaghtaa sa....Andhere mein ho jaise diyaa koi,
Banta bigadta hai dil..Khoke sudh-budh yadon mein teri,
Baawnra mann..Banke bhawnra...
...

Khula hai asmaan, Satrangi sapne bunle,
Sanjh ki garima mein, Rang apne bharle,
Laga pankh, Aaj khuli aazaadi mein udle,
Kya jhoot kya sach, Sab tol barabar karle..
...

Chehra dikhaa nahin, Zulfon mein kahin chupaa tha..
Shaam ke saye mein jaise, Humrahi mera chupa tha..
Shabnami labon pe tere, Ek naya armaan ghula tha..
Hazaron khwahishon beech, Zamir mera bandha tha..
...

In behaya nigahon ko, Siwaaye nigahon ke tere..
Is dard-e-duniya mein, Kahin chain nahin miltaa..
Nazar churane ke, Lakh bahane milte hain magar..
Kambakht...
...

66 baras ka azaad desh mera, Azaadi dhoondta hai..
Ummat yahan..
Mazhab Paise Sharab ko zyada, Vote kam tolta hai..
Kayi uljahon mein ghire..
...

Kar zindagi ko aur rangeen, Khul ke khel holi..
Dhulde ghum gulal se, Khushi se kar hum joli..
Rangja rang mein iske, Bhang mein bhar holi..
Khel aise, Jaise phir kabhi laut ke na aye holi! !
...

Pal do pal ki hai zindagi....Pal do pal kaa ye kaarwaan,
Pal do pal ka safar hai..Main pal do pal musafir yahan,
Pal do pal ki hai khushi..Ye samaa pal do pal ka lamha,
Pal do pal ka khwaab hai..Pal do pal ka apna ashiyaan..
...

Khaja Shaik Biography

I'm a simple person with simple dreams. I learn from every cue of life, try to capture all the moments in my photographic memory and hide thousands of feelings behind my smile: -) . This is a great space to pen down & garnish some of the thoughts cooking in my brain. I believe life is a stage where we all are playing different roles going through different emotions, expressions n phases of play whose script is written by a great director whom we all call God, Allah, Bhagwan, Rab, Eswar and many more to add. It really doesn't matter to which state, caste, creed you belong. Whom you pray, worship. Whether you are white, black. Nothing really matters. What really matters is that 'WE ALL ARE HUMANS'. I believe there is only one religion whose name is HUMANITY. Respect it, Serve it n Live 4 it 2 see happiness all around you. My Blog(RUHAANI) : http: //shaikkhaja.blogspot.in https: //www.facebook.com/Ruhaanii)

The Best Poem Of Khaja Shaik

Ho Rubaru...

Ho rubaru, Teri dilkash nazron mein kho gaye..
Khubsurti par janam, Ik pal mein fida ho gaye..
In be-talab nazron se, Tera deedaar kar gaye..
Tujhe banaye us rab ki, Khub tareef kar gaye..
Hue rooh se..
Tere itne kareeb, Ke ab khud hi door ho gaye! !

Khaja Shaik Comments

Khaja Shaik Popularity

Khaja Shaik Popularity

Close
Error Success