Deepak Kumar deep

Deepak Kumar deep Poems

Aasman me sitaron ko
kisi se ladte dekha hai?
kya suraj chanda taaron ko
raushni sene se adhte dekha hai.
...

Rog laga hai har manav ko, main bada hoon tumse pyare
Tu tu may may ki issi aag me, jal rahen hain ye sare
Pyar nahi hai dilon me apne, Lagate Vishva-bandhutva ken are
...

Man me jab hariyali aayi,
phoolon ne jab gandh udai.
bhagi thandhi der saber,
ab basant ritu hai aayi.
...

Badi ajeeb hai ye zindagi,
khushi ek pal ke liye
dukh verson baras ke liye
koi sukh chahta hai is jeevan me
...

Sara ra ra Holi hai
Baat yahi batayenge hum
Daud daud kar bhag bhag kar
Sabko rang lagayenge hum.
...

Sadiyon se khamosh ye dharti
Pata dhoondh rahi hai insanon ka
Kash! Kahin koi mil jaye
Kya shahar hai ye veerano ka?
...

Neele neele amber par,
chitke pyare taare hain..
Suraj ki kirno se,
chamakte ye saare hain..
...

Bhadta hi ja raha hai Karwan
Aazadi ke Deewano ka
Kya khoob nazara hai
Shamma ke Parwano ka
...

Zindagi mili hai muskurate rahiye,
kaam dukh dard me, aate rahiye..

Aakhon me na aason aayen kisi ke,
...

Raam prabhu jab van se aaye
Ayodhyavasi khusi manaye
Saji Ayodhya dulhan jaisi
Sabne ghar me diye jalaye.
...

Maa mughko chahiye,
aasmaan ka ek taara..
ghat se lakar de do mughko,
khilauna pyara pyara..
...

jeevan ki aadharshila
hoti guru ke hathon me
unke vachno ko apnalo
Raaz hai unki baton me
...

Rafta rafta zindagi ki shaam yun hi dhal rahi hai
Har subah ek nai kiran jeevan me rang bhar rahi hai
Choti si khwahis hai jeevan me kuch karne ki
Par waqut ne diya hai har baar ye dhokha
...

ब ु ल ं द ह ै ं इ र ा द े द ु श ् म न ी क े आ ज ,
क ै स े ब न ा य े र ि श ् त े द ो स ् त ी क े आ ज .....

ह ि ं स ा ह व स म े ं ह ै भ ू ख द ौ ल त क ी ,
...

Jago bachho huwa savera
aalas me na samay gawaon
uath jaldi subah savere
saare sukh sahaj hi paoo....
...

kukuhu, kuhuku karti koyal,
Geet madhur ye gati......
Apni sureeli aawaj se,
Sabke man bha jati.................
...

Bahti jahan gyan ki dhara
wo bharat hame jaan se pyara
seeta ram ki dharti hai jo
aisa bharat desh hamara
...

Dhun jab dil se nikar kar
Hothon par aa jate hain
Wo bol bol rahte nahi
Fir Sangeet ban jaate hain
...

Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Sath do milkar duniya walon
Pakar inke Har ek ishaare
...

Deepak Kumar deep Biography

Kuch bhi bano mubarik hai par pahle insan bano. Nirankari Baba Hardev Singh ji maharaj To know more about the Sant Nirankari Mission http: //www.nirankari.org/ Deepak Kumar 'deep' Editor, Singer, Writer,)

The Best Poem Of Deepak Kumar deep

Humanity Poem In Hindi By Deepak Kumar Deep

Aasman me sitaron ko
kisi se ladte dekha hai?
kya suraj chanda taaron ko
raushni sene se adhte dekha hai.

Kya kabhi shikayat ki hai hawa ne
ki mai muft me kyon bahun
nadee ke sheetal jal se poocho
kya kabhi inkar kiya usne
apna jal dene se..

Pashu pakshai bhi apne anusar
sewa jagat ki kare hain
pedh paudhe sabhi ke liye hai
dhoof, chon, hawa
verna, jaati, dekh nahi dete..

Kintu,
ye insan hi aisa kyon
apni khudgarj lalsaon ki khatir
dusron ka sukh chain cheen raha
''Manavta'' sabad ki to isne
hinsha hi kar dali hai.
Aakhir kyon hai aisa insan.

Ham bhi apne aham ko tyagen
aur manavta apnayen
jitna ho ham sabse,
par sewa se punya kamayen
laden na ham baat baat par
prem se har baat sulghayen
jab ek prabhu ke balak hain ham
fir kaisa hai ghagda
chod ninda nafrat ko
har manav ko gale lagayen

chote baden ki baaten ab
rahne hi den kitabon me
saccha pyar karke sabse
is jeevan ko safal banayen.

Aakhir kyon ke is sawal ko
ye jahan kyon duhraye
aisi karni bane hamari,
'deep' jag me ujiyara ho jaye...

Deepak Kumar deep Comments

nirankari 18 July 2018

Dhan Nirankarji

0 0 Reply
Sunita 08 July 2018

Dhan nirankar Ji

0 0 Reply

Deepak Kumar deep Popularity

Deepak Kumar deep Popularity

Close
Error Success