Khilauna Pyara Pyara Poem by Deepak Kumar deep

Khilauna Pyara Pyara

Maa mughko chahiye,
aasmaan ka ek taara..
ghat se lakar de do mughko,
khilauna pyara pyara..


Maa boli bete se apne,
kaise laungi mai usko..
yahan nahi wo door bahut hai,
khilauna kahta hai tu jisko..


Bachha rone laga chillane,
meri mang poori ho............
ek dana nahi khaunga,
chahe halwa poori ho..........


Ab to maa hairan ho gayi,
ghat thali me paani laya.....
khilauna apne paas dekh,
bachha khub muskuraya...


Mil gaya bete ko mere,
khilauna usne jo mangwaya....
''deep'' sunakar lori maa ne,
bete ko bhar neend sulaya......

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success