Aaj Sanvidhan Aya Tha Poem by Sumit Rawat

Aaj Sanvidhan Aya Tha

Rating: 5.0

Aaj sanvidhan aya tha
Sanshodhan b aaega
Aesa din BHARAT ME
gantantra diwas kehlaega

Or dharm k nam pr
Desh ka namkaran karne walo
Pehle ye batao
Bina dharm wala insaan kaha jaega

Aaj sanvidhan aya tha
sanshodhan b aaega


Insaano k jhund ne
Milkar kanoon to bana diya
Pr har insaan tak is kanoon ka gyan
Kon pahuchaega
Or meri baat ko hasi me lene walo
Meri bat yad rakhna
Jab-2 itihas badalna hoga
Bhagat Singh jaise bhai ko bhul jaenge
Koi Vibhishan jaisa hi Nam aaega

Sanvidhan aaya tha
Sanshodhan b aaega

Thursday, January 25, 2018
Topic(s) of this poem: patriotism
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This poem is specially for 26th January.....
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Sumit Rawat

Sumit Rawat

New delhi
Close
Error Success