Aaj Waqt Ke Bharose Poem by abhipsa panda

Aaj Waqt Ke Bharose



Zindagi me ek din aisa aaya,
ki khudka astitva bhi ruth gaya mujhse.
Rishtey kuch naam ke aisa paaya,
ki apnepan me nahin rahe hisse.

Sochti hun zindagi badalne ki,
par naseeb ke lekh ko kaun badle.
Aadat daalti hun taklifen jhelne ki,
par ye rota man bhale kitna sambhle.

Hum bolte nahin matlab sunna padega,
ye kaise samajh lete hain darinde.
Har unki baat hume maanna padega,
aakhir kaun se nawaab ke hain ye shehzaade?

Aj hum roye to din tumhara bhi aayega,
aur waqt hi tumhaari galtiyan ginwaaega.
Jo taklif tumne diya uska hisaab dilaaega,
aur tumhe apni paapon se rubaroo karaega.

Monday, May 18, 2020
Topic(s) of this poem: pain,time
COMMENTS OF THE POEM
Me Poet Yeps Poet 18 May 2020

aakhir kaun se nawaab ke hain ye shehzaade? well composed and full of sense disposed well done read of mine if you wish to some MOMS SMILES

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success