Aazad Khayalon Ki Duniya (Hindi Poem) Poem by Deepmala N Pant

Aazad Khayalon Ki Duniya (Hindi Poem)

Aazad khayalon ki duniya
masoom sawalon ki duniya
voh chechahate panchee,
aur titliyon ke peeche daudte,
nanhe kadmoon ki duniya

kahaniyan pariyon ki, aur kisse asmaani
ghar ghar ka khel, gude gudiya ka mel
bahut choti fir bhee bahut badi se duniya

Chot lagti aur mit jaati
Gam nahi koi,
dard ho to ansoon aajayein
magar dil mein tees nahi koi,
Tujhse naraz ho to lad jayein
par saalon kamosiyoon ka silsila nahi koi

Pyaare armaaon, mithe pakwaano
khilono ki dukano ki rangeen duniya
Diwali ke methayee, eid ki edee
fulzariyon aur chamkte taaron ki duniya

badi khaas, hai yaadon mein iska ehsaas
bahut peeche choot gayi
par maan ke kone mein ajj bhee
machalti, hilore leti hai ye duniya

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success