Aise Pita Ki Kya Mai Tareef Kru Poem by Dev mishra

Aise Pita Ki Kya Mai Tareef Kru



pakadkr ungli jiski, maine chalna seekh liya.
thamkar hath jiska, maine ye jnha dekh liye.

*aise pita ki kya mai tareef kru.*

jisne bharkar pet apne baccho ka, khud ek nivala kha liya.
bhoolkr apni kushiyo ko, bacho ki khushiyo ko apna sahara bna liya.
raat din apne ek krke usne, baccho k sapno ko apna sapna bna liya.

*aise pita ki kya mai tareef kru.*

hai murat wo bhagwan ki, jiski mai puja krta hu.
lad baithu agr galti se bhi kbhi, baad me khud rokr ye pachtawa krta hu.
sochta hu jis insaan ne, mujhe insaan hai banaya.
phir maine kyu uska galti se hai dil dukhaya.
mangkr maafi bas chahta hu, uski ankh ka tara bankr rahu.

*aise pita ki kya mai tareef kru.*

bas krke pure sapne us pita k, jisne mere liye sanjoye hai.
bacho ki kushiyo ki khatir jisne, apne sukh jo khoye hai.
khata hu kasam mai, ki unke sare sapne mai pure karu.

*aise pita ki kya mai tareef kru, aise pita ki kya mai tareef kru*

Wednesday, June 28, 2017
Topic(s) of this poem: father and son
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 6
Dev mishra

Dev mishra

india
Close
Error Success