Ankh Meri Bhar Ayi Poem by Dev mishra

Ankh Meri Bhar Ayi

ayi hai mere angne me itne salo baad.
manga tha us nanhi si jaan ko, krk khuda se fariyad
pakar us nanhi si jaan ko, ankh meri bhar ayi.
khul gya mera naseeb, jo wo meri god me utar ayi.
sanjo liya sapna maine pal hi pal in ankho me.
pura kregi wo dekha sapna mera, jindagi ki in raho me.
khuda ki di hui amanat hai wo, door janha se wo ayi hai.
pakar us nanhi si jaan ko, ankh meri bhar ayi hai.
kahte hai beti paraya dhan hoti hai, ek na ek din chale hi jana hai.
nhi chahiye kuch bhi is duniya se, bas beti jaisa dhan hi mujhe har janam pana hai.
log kahte hai beta hi baap ka sahara banta hai, ma baap ki ankh ka tara banta hai.
meri beti bhi ek din mera sahara banegi.
khushiyo se wo mera naam roshan karegi.
dekh meri ankho me sapne usne, pura karne ki unhe kasam ye khayi hai.
pakar us nanhi si jaan ko, ankh meri bhar ayi ha

Sunday, August 7, 2016
Topic(s) of this poem: happy
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success