Aur Kehte Hain Hamne...Nari Ka Samman Kia Poem by abhilasha bhatt

Aur Kehte Hain Hamne...Nari Ka Samman Kia

Kyun yamraj se savitri hi ladi satyawan k praan k lie...
Kyun satyawan nhi lade savitri k lie..
Kyun sita ne vanwas apnaya ram k sath lie...
Kyun Ram nhi gye vanwas sita k lie...
Kyun gaura sati shiv k maan lie...
Kyun Shiv sati nhi hue gaura k lie...
Kyun radha ne sara jeevan bitaya apne kaanha k lie...
Kyun kaanha laut k virindavan nhi aye radha k lie..
Aurat ko majboor kia farz k nam par balidaan k lie..
Mard ko har azaadi dedi kis baat k lie..
Pati mara to aurat ko ajeevan widhwa ka frz niabhane ko hukm dia..
Patni mari to dusri shadi karake kisi ka hath thama dia…
Aurat machla hardum...
Aurat ko kuchla hardam….
Aur ko becha hardum...
Kbhi dahej k roop main...
Kbhi sare aam nilaam kia...
Aur kehte hai humne naari ka samman kia..
Jahan ishwar ne niyam banaye
Jagjanani use naam dia..
Unhone kaunsa naari ko barabari ka sthan dia….

Wednesday, December 2, 2015
Topic(s) of this poem: woman
COMMENTS OF THE POEM
Shakil Ahmed 02 December 2015

beautiful lyric heartfelt thoughts, thanks for sharing

0 0 Reply
Shakil Ahmed 02 December 2015

beautiful lyric, thanks for sharing

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success