Bhavini Poem by Richa Tiwari Joshi

Bhavini

Rating: 5.0

Mujhse hi bani hai par mujh jaise nahi hai
Teri apni hi nirali koi chavi hai
Teri har ada muje jindagi ke eek kadam aur paas le aati hai
Teri ek muskan mere dil ka har gam dhuan kar jati hai
Yeh kaun sa mod meri jindagi ka aaya hai
Ki mera har pal tere pyar mein bheega sa
Meri har bat teri yaad mein bhigi si,
Yeh sach hai ki mein tanha sa mehsoos karti thi
Par, ab tere aane se meri jindagi aabad hai
Koi shikayat nahi ab naseeb se, is kaynaat ka shukriya ki usne mujhe tujhe se milwaya hai.

COMMENTS OF THE POEM
Kesav Easwaran 04 December 2009

'Teri ek muskan mere dil ka har gam dhuan kar jati hai' well, got trapped? nice romantic feelings you paint there Richa...kavitha khusi ki...10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success