Darkaar Poem by krishna pusham

Darkaar

Tum noor nahi
tum us noor ki saag ho
kabhi na suni hue
us sargam ki raag ho
Andhero m dhoobi hue
us shasq ki chaaw ho
jiske aane k raah m
sari zindagi lagae ho
Aksar apne khwaabo ko
tum dil m dabati ho
choti choti baato m
tum khub muskurati ho
Udasi m bhi tum apne gumo ko chupati ho
tum khush toh nahi
khus rahne ka naqab lagati ho
Tumhe jiski jarurat h
tum wo toh pa jati ho
par jise tumne chaha
usey kho jati ho
Alag es bheed se
sbki mehfil m mehmaan ho
kai chehre tumhre esme
fir bhi sabse anjaan ho
Ek sacchi baat h tumme
tum sab se chupati ho
apne gumo ko bhula kar
sabko khusi dilati ho
Gahre shok m b
tum sabko hasati ho
sabka sath nibhakar
khud tanha rah jati ho
Tum nadaani m bhi
gairo ko apna banati ho
saza ye pati ho
khud diwangi ki kaid m ho jati ho
Tum kya ho _____
mere kwaabo m aati ho
haqigat toh nahi sirf raato ka sapna bann k rah jati ho...! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success