Dosti Wali Takraar (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Dosti Wali Takraar (Hindi)

Meethi hoti hai dosti wali takraar
Ismein kabhi gham hai toh kabhi pyaar,

Yun toh ik-doosre se ladte the,
Koi teesra aankh dikhaye,
Toh sheron ki dahaad-se padte the,
Shaam ko ik-doosre ki jeb lutti thi,
Khud ki jeb bhari ho,
Phir bhi aankh yaar ki jeb pe tikti thi.


Meethi hoti hai dosti wali takraar
Ismein kabhi gham hai toh kabhi pyaar,

Raat ko fir se ikatthe hona,
Lekin khud ko akad mein dubona,
Bharat or Pakistan ban jana,
Yun toh ik-doosre par akadte hain,
Lekin pyaar bhi bahut karte hain,
Ik-dooje ki maafi ka intezaar karte hain.


Meethi hoti hai dosti wali takraar
Ismein kabhi gham hai toh kabhi pyaar,

Monday, September 19, 2016
Topic(s) of this poem: friendship
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Bharat or Pakistan means fight brutely without giving wounds.... Fight of heart....
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success