Hindi Shayari Poem by Sahil Bangotra

Hindi Shayari

Rating: 5.0


"chodkar chali ja" kehkar use aazmana kya chaha,
Dil-e-Berehem ko bahana mil gya...! ! !


Ek roz kaha tha mere aansuon ko moti tune,
Meri Dil-e-ameri dekh, aaj sab tere naam kr diye..! !


zakhm kharochne ki itni bhi kya jaldi thi,
gaav bharne ka intezaar toh kia hota bereham.
Mujhe takleef kuch zyada hoti,
Aur tere dil ko zara sukoon mil jata..! !


Na pyar mila tujhse, Na khulkar nafrat kr saka.
Na tu meri ho saki, Na main khud ka rha..! !

Waqt ne kaisa mod lia, Nilaami mere aansuon ki hui,
Boli uski khushi ki lagi, Aur nilaam main ho gya..! ! !

Jane kya baat hai us masoom se chehre mein,
Nafrat karne nikalta hu aur Pyar badhakar laut aata hu..! !


Kosne ko hi sahi, par tumhe yaad toh krte the,
Tumne Ikraar-e-Zulm karke humse ye bahana bhi cheen lia..! !


Hum toh chand logon ke saamne bolne se bhi hichkichate the,
Uski rehmat kya hui, Alfaaz judkar sher bante chale gye..! !


Dil ke dard mein lipte alfaaz maine mehfil mein bikher diye,
Mere dil ka haal koi na samjha, sab wah wah karte nikal liye..! !


Ittelah krde koi use, Aakar dil ke panne chaant le,
Sukh kisi aur se sahi, Mujh se dukh hi baant le..! !

Aankh lagi hi thi ke fir jaga dia,
Teri yaad ke iraade arso baad bhi na badle..! !

Tuesday, August 21, 2018
Topic(s) of this poem: hindi,poem,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Naila Rais 05 December 2018

Nice.... You may like to read my Bas ek baar phir muskurao! Naila

0 0 Reply
Madiha Tsuzuki 08 September 2018

Great poem I didnt know you are good at Hindi poetry too..

0 0 Reply
Jazib Kamalvi 21 August 2018

Write comment. Fine poem, Sahil. Read my poem, Love and Iust. Thanks

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success