Humare Sar Per Maa Pitaji Ke Aashish Ka Saaya Rahe Poem by Ravi Singh

Humare Sar Per Maa Pitaji Ke Aashish Ka Saaya Rahe

Rating: 5.0


Kabhi daraya dikha ke garam chameeta,
Kabhi utaar kapde ghar se bahar ghaseeta

Kabhi baji gaal per chante kee chatkar,
Ek dou baar tho chappal se bhi hua prahar

Ab samajhe hum kyun jaruri thi maar fatkar,
Unki chahat thee ki rahe hamare bhavisya mein bahar

Hum bacchaon ki khatir ek dusre se duur rahe,
Akelepan aur hum bacchon ke jhanjhat khoob sahe

Sirf danta hi nahin, bahut pyar se dulara bhi,
Jab bhi bhatke hum, diya bharpur sahara bhi

Ab who hamen itni daant nahin lagate hein,
Hamari galtiyon per mismisa ke reh jaate hein

Galtiyan na houn iski dua aur koshish ham karte hein,
Wo dante na dante, bhavnayen hum samajhate hein

Khud bhee ek dusre se, khoob lade bhide,
Kuch samay anbola raha, fir sath chal pade

Khud dikhayen nahin per humko tho samajh aata hei,
Gehra aapas ka pyar bhala kahan chip pata hei

Parmatma inko iss khoobsurat raah per chalata rahe,
Aur humare sar per inke aashish ka saaya rahe

Tuesday, April 22, 2014
Topic(s) of this poem: Family
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Ravi Singh

Ravi Singh

Gwalior, India
Close
Error Success