Jeevan Ki Raah Poem by R.K.S. Yadav

Jeevan Ki Raah

Jeevan ki har ek dasha men
Aage badhta jaaunga
Andhkaar jitna bhi ho par
Tanik nahin ghabraaunga
Oobad -khabad oonchi-neenhi
Pathrili hon jitni raahen
Sada ubharta jaaunga
Dara nahin koi bhi sakta
Diga nahin koi bhi sakta
Mere jeevan ke path se
Mere jeevan ke rath se
Chaahe path tum dhoomil kar do
Kaanton se raahen bhi bhar do
Main tanik nahi ghabraaunga
Aage badna oopar chadhna
Gir kar chalna aur sambhalna
Naya paath sikhlaaunga
Jeevan ki har ek dasha men
Aage badhta jaaunga

Saturday, May 14, 2016
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
R.K.S. Yadav

R.K.S. Yadav

Bareilly (U.P.)
Close
Error Success