Kavi Se Kavita, Kavita Se Kavi Poem by Rishi Thakkar

Kavi Se Kavita, Kavita Se Kavi

Kavita ne kaha kavi se,
Meri tariff mein Kuch likho dil k dwani se..
Koi Ek sundar vichar ho,
Uss vichar par tumko garv aur naaz ho..
YU sajao shabdo k phool aise,
Shushobhit  Prabhu ki chavvi par sundar maala jaise..
Alfaaz aise jo dil ko apni taaquat se pighlaye..
Hasi muskurahat bhi mehsus ho sabko agar tumhari kavita ye padde sunaein..
Kehte hai kavi k kalam mein alokik  shakti hoti hai,
Jo sansaar mein anek aavishkar- parivartan  k beej boti hai....

Kavita ne kaha yun kavi se,
Mujko tum alankaro k shringaar se yu sajana,
Jaise lagna mandap pe nayi dulhan k saundarya ki charcha karta zamana...

Phir kavi Kehte sambodhit kar kavita se...
Ye kalam bhi kambakqt teri tariff k pool sajaye jaati hai..
Shrotaon pyare kavi bhaiyon kavita hai to hum hai..
Kavi hai to kavita hai ye rishta Kuch divya atoot Saa hai..

     

Friday, January 8, 2016
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
Rishi Thakkar 08 January 2016

As always support for friends helps in extracting positive lines. Thanks again abhilasha :)

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 08 January 2016

Well written, nicely narrated poem...thanx for sharing :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success