Kavita Hogi...... Poem by mithilesh yadav

Kavita Hogi......

Rating: 4.5

Jalunga aag jaisey mein bhi jara tel to dalo.....
Mere mitti key badan ko jara bhatti mein to dalo.....

Ret ki tarah fisal jaunga hath mein na thamo.......
Samay hun laut na aaunga rah na niharo.....

In mohabbat key key dhagey sey meri jindagi na bandhon....
Maut jee rha hun... Mujhsey koi ummid na badhon.....

Aarman bass itna hai jab tak sans rhey kisi ki aash ban sakun......
Jab than na paun sans aapni to WO bhi sabko bant chalun......

Jindagi ki ummid ney mar gaye Janey kitney sikander jahan mein....
Mein to din bita raha hun maut key jasney intejar mein......


Jarra jarra aapna jarrey jarrey mein un mila jaunga......
Har pehar har mausam mein asar aapna daal jaunga......

Meri jindagi ko samet key rakhogey to with bass ek kavita hogi....
Meri aantim hawan kund mein sey Jo niklegi aag WO bhi bass ek kavita hogi......

Saturday, January 30, 2016
Topic(s) of this poem: death
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 31 January 2016

A beautiful poem....nicely written :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success