Na zaane ye kaisa, mousam aaya hai| na zaane ye kaisi, hawaye laya hai| charo taraf bas, kohra chaya hai| sare sapne lagte hai, bikhre-bikhre se | sare arman hai ab, tute -tute se| najane ye kaisa khel- khela hai kismat ne| jane ye kaisa faisla, hai rab ka | sara himmat hai hara man ne| sare sapne khoye nayan ke| lagta hai aisa-jaise, khushiyon ne hai toda, mujhse har nata| ab lagne laga hai dar, chubhne laga ye zindagi ka dagar, kahi sabra ka vaan tute na, zindagi ka saath chhute na| aaye na nazar wo suraj, jaane kaha khoyi uski roshni| kohra aur gehra, kahi ho na jaye, waqt ka kehar, kahi banke zaher, meri zindagi chheene na| aaj bhi hai intezaar, umeed ki ladi hai barkarar, khushuyon ka dekhu mai raah| jaane kab suraj uge, ye gehra kohra ghate, meri zindagi ka phool khile! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem