Mera Maazi Poem by Always Aparna

Mera Maazi

Jab bhi yaad aata hai,
sirf rulaakar jaata hai
dil ke hare zakhmon ko,
yun hee kuredkar jaata hai
is kadar wo mujhse apni
mohabbat jataa kar jaata hai…

Jab bhi usey bhoolna chahun,
phir se yaad dilaakar jaata hai
mujhe apna mehboob banaakar
aise haq jataakar jaata hai…

Jab bhi bandhan todna chahun,
naye rishte jodkar jaata hai
woh harjaai aur koi nehi,
‘mera maazi’ kehlaata hai…


(Maazi = Past)

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success