Queen, A Spanish Love Poem By Pablo Neruda In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Queen, A Spanish Love Poem By Pablo Neruda In Hindi/Urdu Translation

main ne tumhain rani kaha hai
halaN k tum se badi auratain
lambi hain, kafi lambi hain
saaf suthri hain, kafi saaf suthrie hain
khoobsoorat hain, kafi khoobsoorat hain
fir bhi tum meri rani ho, meri rani ho

jam tm gali main jaati ho
tumain koie nahin jaan pata
koi nahin tere sir par chamkata taj dekhta
aur na hi vo koi laal sunehri gliche ko dekhta
jis par tum chalti ho
glicha jis ka koi namo nishan nahin

jab tum mere samne aato ho
daryaaoN ki awaazeN mere badan se nikalne lagti hain
aasman main ghantian bajne lag jaati hain
ar saaray sansar main bhajan ghoonjane lagte hain

siraf tu aur main
siraf tu aur main, meri jaan
hum in ko sun paatay hain.

***

Yo te he nombrado reina.
Hay más altas que tú, más altas.
Hay más puras que tú, más puras.
Hay más bellas que tú, hay más bellas.
Pero tú eres la reina.

Cuando vas por las calles
nadie te reconoce.
Nadie ve tu corona de cristal, nadie mira
la alfombra de oro rojo
que pisas donde pasas,
la alfombra que no existe.

Y cuando asomas
suenan todos los ríos
en mi cuerpo, sacuden
el cielo las campanas,
y un himno llena el mundo.

Sólo tú y yo,
sólo tú y yo, amor mío,
lo escuchamos.

-Pablo Neruda

Friday, August 31, 2018
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success