Samaj Ke Sardar Poem by none .....

Samaj Ke Sardar

Logo ki suno na kuch tum
Suno bhi toh mano na kuch
Mano bhi toh, ye jano
Ki en sabdo ke hai na koi aarth
Na toh koi wajud
Wo sote hai raat ko
Wo aanken kholte hai subha
Phir bhi soye hote hai
Aakh khole
Wo kehete hai kuch
Karte hai kuch aaur
Wo mante hai kuch
Jante kuch nahi
Wo dekte hai sab
Pehechante kuch nahi
Phir bhi kahedete hai
Haq se- k hum hi hai sahi
Ek taraf hai logo ki bhid
udher bhedo ki ek jamat
Antar kaya hai in mai
Dekhla do mujey
O samaj k sardar

Friday, April 24, 2015
Topic(s) of this poem: society
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success